5 Zaroori Social Skills Jinhen Har Bacche Ko Kaamyabi Ke Liye Sikhna Chahiye

5 Zaroori Social Skills: Hum, maa-baap khud ko aksar sirf bachon ki Padai ko nazar mein rakh kar dekhte hain, lekin hum chahte hain ke woh sirf Padai ki taraf hi nahi, balkay unke Doston ke saath bhi achchhe rishta banaya karain.

Social Skills ek bachay ke future ki kamiyabi mein Zaroori kirdar ada karte hain. Ye skills, unke liye unki feelings ka izhaar karne mein madad dete hain, unhain achchha banate hain, na sirf first impression ke liye, balkay alag-alag pehluon mein bhi achchhe hone ki hunar dete hain, school ke interviews se lekar public speaking tak. Inn 5 Zaroori Social Skills ko istemal karke bachay apne aap ko khud positive aur successful future ki taraf qadam badha sakte hain.

5 Zaroori Social Skills:

Body Language:

Aksar hamari body language hamari baat chit se bhi ziada bari awaz hoti hai aur hamari soch aur jazbaat ko dunia ke logon tak pohnchati hai. Bina soche samjhe, hum aksar apnay badan ko kisi khaas tariqay se istemal karte hain. Jab hum apni acha mehsoos nahi karte, to hum aksar apnay badan ko sikod kar baith jatay hain aur haathon ko bhi badan ke kas letay hain. Aur Jab hum acha mehsoos karte hain, to humara badan relax rehta hai aur haath khule rehte hain. Bachon ko body language ke baare mein samjhayein. Gup shup karen, alag alag tarah bachchon ko sikhayein jaise face expressions se aur body language fayde aur nuksaan bhi bataiye.

Girls-Shank-Hands

Smile Aur Eye Contact:

Ek pyaari si smile aur nazrein milna ek khubsoorat mahol banate hain. Bachon ko sikhaein ke smile, dosti ki nishani hai jo positivity paida kar sakti hai. Unko chahron ko muskurate hue shaklon ko pehchanne ko kahein, taaki is dosti ke ishara ki importance unko pata chal sake. Sunte waqt aur bolte waqt eye contact rakhein, yeh respect aur confidence ki nishaani hai, jis se attractive baatcheet ja sakti hai.

Also Read: Bachchon Ke Gusse Ko Control Karne Ke Tareeke

Active Listening:

5 Zaroori Social Skills

Active Listening asar communication ki basic cheez hai. Bachon ko sirf apni baat ke sath-sath dosron ki bhi baat sunne ki aadat honi chahiye. Sath mein kahaniyan pardhein aur uske baad sawal poochhein jisse pata chalega ki aapko khanani kitni samajh aayi, aur isse aapki sunne aur sun kar samjhne ki skills develop hongi. Rozaana ki baaton mein bhi shaamil hokar unko soch samjhkar jawab denay ki importance honi chahiye, taaki woh jo baat karein wo important ho aur jise doosre samajh sakein.

Eye Contact:

Eye contact communication ki ek basic zaroorat hai, jisse respect, attantion aur confidence dikhta hai. Is skill ki practice karwayein, jisse eye contact banane mein unki jhijhak nikal sake aur ye ek aadat ban jaaye. Yeh ek bahot important skill practice hain jo sabko aani hi chahiye.

Social Skills And Child Development

Politness Aur Confidence:

Politness bahot zaroori cheez hai lekin bahot zaada polit hona bhi sahi nahin. Bachon ko politness aur confidence ke beech balance banane ki zaroorat ko samjhayien. Unko sikhaein ke zaroori hone par woh apni baat keh sakte hain, jaise koi baat kehni ho ya phir koi decission lene ki situations mein. Isse unhein alag alag situations mein apni baat ko kaise confidently kehna hai aa jayega.

Also Read: Tanav Kam Karne Aur Relax Karne Ke Liye-10 Tez Aur Aasaan Tarike

In Social Skills ko bachon ki daily zindagi mein zaroori activity banayein aur open discussions mein unhein zaroor shaamil karain. Dhyaan dein, unhein in skills ka sirf uppari nahi balkay dheere-dheere deep knowdlege aur practice karwayein jisse unka complete developement ho sake aur narmal life mein wo confident feel kar sakein.

FAQ

Bachon Ko Social Skills Sikhanay Kyun Zroori Hai ?

A1: Bachon ke liye Social Skills sikhana zoroori hai kyunki yeh unhein alag-alag zindagi ki situations mein madad deta hai, ek positive Attitude paida karta hai, aur school mein, inteview mein aur puplic speaking jaise zindagi ke zaroori mauqon pe aapko kamiyab banane mein madad deta hai.

Maan-baap apne bachon ko Body Language se Kaise Sikha Sakte Hain ?

A2: Maan-baap apne bachon ke sath different situation se related act karein jisse bachchon ko alag-alag Body Language ki practice karwani chahiye. Isee Unko Body Language se apni feelings ko kaise positively dikhane mein help hogi.

Q3: Smile Aur Eye Contact ki Kya Importance Hai Communication Mein ?

Smile Aur Eye Contact Communication ka ek bahot important part hain. Isse ek Positive mahaul paida Hota hai, dosron ko khushi mehsoos karate hain, aur saath ka ehsaas dilate hain. Muskarana aur eye contact se rishtey banane mein help hoti hai.

Q4: Maan-baap Bachon Mein Active Listening ki Aadat Kaise Dalwa Sakte Hain?

Maan-baap apne bachon ko kahaniyan parh sakte hain aur uske baad us kahani ke baare mein baat kar sakte hain. Sawalon ko pochne aur bachon se bhi sawal pooch kar unki activce listening ko test kar sakte hain isse ye improvce hogi.

Q5: Politness aur Confidence ko Kaise Balance Karein?

Saadgi aur politeness bahot important hai, lekin bahot zaada polit hona bhi sahi nahi hota. isse bachchon ke confident hone problem aa sakti hai. isko balance karne ki sabmein skill honi chahiye. Proper communication main confidence, politness aur manners sab hona zaroori hai. Yeh skill alag alagf social situations mein bahot kaam aati hain.

Maan-baap bachon ko Eye Contact Sikhane ki practice mein kaise madad kar sakte hain?

A6: Maan-baap apne bachon ke sath ek khel khel sakte hain jahan wo ek dosre se eye contact kartey hain different time ke liye. Is ko alag alag logo ke saath karein aur bachchon se baat karte rahein. Isse dheere-dheere Eye Contact ki aadat ho jayegi.

Active Listening ke hunar se bachon ko kya faida hota hai?

Active Listening se bachay dosron ko behtar se samajh sakte hain, Achchhe tareekw se jawab de sakte hain, aur doosron importance de sakte hain. Yeh mazboot rishton aur strong boond banane ke liye zaroori skill hai.

Positive Body Language Ka achchha impression banane mein kya role hai ?

Positive body language jaise seedha khada hona, haath ke gestures aur positive image se aap ki taraf log attract hote hain. Aur isse aap ek yadgaar imprtessions chhodte hain logon pe.

Maa-Baap Bachchon Ko Kaise Well Mannered Aur Confident Banayein?

Parents bachhon ko sikhayein ki alag alag situation mein undein kaise behave karna hai. Jaise ki Ghar mein unhein badon ke saamne kaise behave karna hai aur jab wo apne doston ke samne wo kaise behave kar sakte hain. Ye dono situations alag hain aur ismein sabka behaviour bhi alag hota hai.

Ye Social Skills Bachchon Ke Develoipment Mein Kaise Helpful Hoti Hain?

Social Skills bachchon ki relationship banane, unki baat cheet mein aur unke confidence ko badhaane mein bahot zaroori hain. Isse unke padhaai aur zindagi ke saari situations ko handle karne mein help milti hai.

Leave a Comment